Thursday, September 29, 2011

Zaroori toh nahi.

Socha key kahein tumse
Ho kyu bhala tum ghumsum
Chahat kuch aur hai, milna uska koi zaroori nahi
Mohabbat tum kiye jao, woh bhi karey zaroori nahi.

Ashqon ko dekh tumharey
Dil uska bhi dukha hoga, zaroori nahi.
Par ashq tum na bahao uske khayaal mein, zaroori nahi.

Khwabon ko buna tumne, sehem ker, sambhaal ker.
Koi tod na de unko, zaroori nahi.
Per tum armaanon ko apney, seeney mein dabaye rakho, zaroori nahi.

Aaina sach kehta hai, aisa sab kehte hain
tum apni sachayi badlo
Logon ki sachayi ko apni sachayi banao
Aisa bhi toh zaroori nahi.

Woh tumhe yaad karey, zaroori nahi
Tum ussey bhool jao, zaroori nahi.

1 comment:

  1. Loved this poem. Continuing with this couplet:
    Wo tumhe pyar kare, zaroori nahi.
    Tum use pyar naa karo, zaroori nahi.

    ReplyDelete